Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
Bhale chheen lo mujhse meri jawani
Magar mujhko lota do bachpan ka sawan
Woh kagaz ki kashti woh baarish ka paani
Toh Arz kiya hai doston… (Please bear in mind that this composition below is not made to hurt anyone’s feel-ings. If I do so inadvertently, please accept my sincere apologies in advance)….
Woh assembly mein doston se isharon mein kehna
Aaj ke exam mein thoda please help kardena
Woh English class mein Flavia madam ka padhana
A thing of beauty is a joy for ever- samjhana
Woh Physics class mein Madhok sir kaa yoon hi daantna
Gusse se hamare kaanon ko bhi laal karna,
Woh hindi pariksha mushkil se paas karni,
Woh kagaz ki kashti woh baarish ka paani…
Woh lunch break mein doosron ka lunch box chupanaa
Doston ke sath khelke paseena bahaana
Woh Shekhar sir se chupte chupate huye chalna
Woh Indu maadam ke rone ki naklein utaarna
Woh homework na karne ke bahane banana
SUPW classes ko baar baar bunk karna
woh trip pe hindi gaanon ki antaaksari jamaani
Woh kagaz ki kashti woh baarish ka paani…
Woh Naini ke trip mein sote huye ko jagaana
Na jaage toh uske muh pe toothpaste ko malna
woh pahaadon mein mountain climbing ko seekhna
woh maasoom se pehle crush ka banna aur bigadna
Umar ka ye kaarwan yoohi guzarta hi chalega
Un yaadon, in lamhon ko, tum banana nishaani
Woh kagaz ki kashti woh baarish ka paani…
Woh MIS 89 ke batch ke haseen yaadon ki kahaani….
Leave a Response